is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi apni zindagi bachane ke liye ghar-ghar ka prachar karte hain?

kya yahova ke sakshi apni zindagi bachane ke liye ghar-ghar ka prachar karte hain?

nahin, aisi baat nahin hai. hum yah nahin maante ki prachar karte rehne se hamein hamesha ki zindagi paane ka hak mil jaata hai. (ifisiyon 2:8) kyon?

zara sochiye: ek bhala aadmi aapse vaada karta hai ki jo bhi koi uski batayi gayi taareekh aur jagah par maujood hoga use woh ek keemti tohfa dega.

agar aapko us aadmi ki baat par bharosa hai, to zaroor aap vahaan jaayenge. aur itna hi nahin, kya aap apne doston aur rishtedaron ko uske baare mein nahin batayenge taaki unhein bhi woh tohfa mil sake aur kya sirf udhar jaane se hi aap us tohfe ke hakdar ban jaayenge? nahin. woh tohfa to aapko sirf isliye mil raha hai kyonki woh aadmi khud aapko dena chahta hai.

usi tarah yahova ke sakshi maante hain ki parmeshvar ne hamse vaada kiya hai ki us har insan ko hamesha ki zindagi milegi jo uska kehna maanta hai. (romiyon 6:23) hum is vaade ke baare mein doosron ko bhi is ummeed se batate hain ki unhein bhi hamesha ki zindagi mile. par hamara yah maanna hai ki prachar karne se hum zindagi paane ke hakdar nahin ban jaate. (romiyon 1:17; 3:28) aakhir, hammein se aisa kaun hai jo hak se hamesha ki zindagi maang sakta hai? koi nahin. isliye bible kehti hai: “usne hamari neki ke kaamon ki vajah se nahin balki apni daya ki vajah se hamara uddhaar kiya” hai.—titus 3:5.