ibraniyon ke naam chitthi 2:1-18

  • aur bhi zyada dhyan do (1-4)

  • sabkuch yeeshu ke adheen kiya gaya (5-9)

  • yeeshu aur uske bhaai (10-18)

    • unke uddhaar ka khaas aguva (10)

    • dayalu mahayajak (17)

2  isliye hamne jo baatein suni hain, un par aur bhi zyada dhyan dena zaroori hai+ taaki hum kabhi-bhi behkar door na chale jaayen.+  jab swargdooton ke zariye kaha gaya vachan+ itna atal saabit hua aur uske khilaf jisne bhi paap kiya aur aagya todi, use nyay ke mutabik saza mili,+  to hum us uddhaar ke maamle mein jo itna mahan hai, laaparvahi baratkar kaise bach sakeinge?+ iske baare mein sabse pehale hamare prabhu ne bataya tha+ aur fir jin logon ne usse yah suna tha unhonne hamare liye ise pukhta kiya.  parmeshvar ne bhi chinh aur chamatkar dikhakar aur tarah-tarah ke shaktishali kaamon ke zariye+ aur apni marzee ke mutabik pavitra shakti ke vardan baantkar iski gavahi di hai.+  parmeshvar ne aanevali us duniya ko, jiske baare mein hum bata rahe hain, swargdooton ke adheen nahin kiya.+  magar kisi gavah ne kaha hai, “insan hai hi kya ki tu uska khayal rakhe? insan hai hi kya ki tu uski parvah kare?+  toone use swargdooton se kuch kamtar banaya. aur use mahima aur aadar ka taaj pehnaya aur use apne haath ki rachnaon par adhikar diya.  toone sabkuch uske pairon tale kar diya.”+ jab parmeshvar ne sabkuch uske adheen kar diya+ to usne aisa kuch bhi nahin chhoda jo uske adheen na kiya ho.+ yah sach hai ki ab tak hum sabkuch uske adheen nahin dekhte,+  magar hum yeeshu ko dekhte hain jise swargdooton se thoda kamtar banaya gaya.+ aur maut ka dukh jhelne ki vajah se use mahima aur aadar ka taaj pehnaya gaya+ taaki parmeshvar ki maha-kripa se woh har insan ke liye maut ka dukh jhele.+ 10  sabkuch parmeshvar ki khaatir aur usi ke zariye vajood mein hai. aur yah sahi tha ki parmeshvar bahot saare beton ko mahima mein laane ke liye,+ unke uddhaar ke khaas aguve ko dukh sehne de+ aur is tarah use paripoorna banaye.+ 11  isliye ki pavitra karnevala aur jo pavitra kiye jaa rahe hain,+ sab ek hi pita se hain+ isliye woh unhein bhaai pukarne mein sharminda mehsoos nahin karta,+ 12  jaisa woh kehta hai, “main apne bhaaiyon mein tere naam ka ailan karoonga, mandli ke beech geet gaakaar teri taareef karoonga.”+ 13  aur fir yah, “main us par bharosa rakhoonga.”+ aur yah bhi, “dekho! main aur mere ye bachche jo yahova* ne mujhe diye hain.”+ 14  isliye jaise bachche haad-maans ke hain, woh bhi haad-maans ka bana+ taaki apni maut ke zariye use yaani shaitan*+ ko mita de, jiske paas maar daalne ki taakat hai+ 15  aur un sabko aazad kare jo maut ke dar se poori zindagi gulami mein pade the.+ 16  woh asal mein swargdooton ki nahin balki abraham ke vansh* ki madad kar raha hai.+ 17  iseeliye zaroori tha ki woh har maayne mein apne bhaaiyon jaisa bane+ taaki woh parmeshvar se judi baaton mein ek dayalu aur vishvasyogya mahayajak ban sake aur logon ke paapon ke liye+ sulah karanevala balidan chadhaye.*+ 18  usne khud bhi us vakt bahot dukh uthaya tha jab uski pareeksha li jaa rahi thi,+ isliye ab woh un logon ki madad karne ke kaabil hai jinki pareeksha li jaa rahi hai.+

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
shaa., “iblees.” shabdavli dekhein.
shaa., “beej.”
ya “prayashchit ka balidan chadhaye; prayashchit karaye.”