kurinthiyon ke naam doosri chitthi 9:1-15

  • dene ka badhava (1-15)

    • parmeshvar khushi-khushi denevale se pyar karta hai (7)

9  pavitra janon ki seva+ karne ke baare mein darasal main tumhein likhna zaroori nahin samajhta  kyonki main jaanta hoon ki tum madad karne ke liye taiyar ho. aur main makiduniya ke bhaaiyon ko garv se bata raha hoon ki akhaya ke bhaai pichhle ek saal se madad karne ki ichha rakhte hain. aur tumhare josh ne unmein se bahoton ke andar utsah bhar diya hai.  magar main bhaaiyon ko tumhare paas pehale se isliye bhej raha hoon taaki is maamle mein hamne tumhare baare mein jo garv se kaha tha woh baat kahin khokhli saabit na ho, balki tum vaakai taiyar paaye jaao, theek jaise mainne kaha tha ki tum taiyar rahoge.  nahin to agar makiduniya ke bhaai mere saath vahaan aayen aur yah paayen ki tum taiyar nahin ho, to tum par bharosa karne ki vajah se hamein—main yah nahin kehta ki tumhein—sharminda hona padega.  isliye mainne yah zaroori samjha ki bhaaiyon ko bahot pehale hi tumhare yahaan aane ka badhava doon taaki woh udarta se diya gaya tumhara tohfa taiyar rakhein jise dene ka tumne vaada kiya tha. is tarah yah daan udarta se diya gaya tohfa hoga, na ki aisa jo zabardasti vasoola gaya ho.  is maamle mein jo kanjoosi se bota hai woh thoda kaatega, lekin jo bhar-bharkar bota hai woh bhar-bharkar kaatega.+  har koi jaisa usne apne dil mein thaana hai vaisa hi kare, na kudkudate* huye, na hi kisi dabav mein+ kyonki parmeshvar khushi-khushi denevale se pyar karta hai.+  parmeshvar tum par apni maha-kripa ki bauchhar karne ke kaabil hai taaki tumhare paas har cheez bahotayat mein ho aur har bhala kaam karne ke liye jo kuch zaroori hai woh bhi tumhare paas bahotayat mein ho.+  (jaisa likha bhi hai, “usne badh-chadhkar* baanta hai, gareebon ko diya hai. uski neki hamesha bani rehti hai.”+ 10  parmeshvar jo bonevale ko bahotayat mein beej deta hai aur khaanevale ko roti deta hai, vahi tumhein bone ke liye bahotayat mein beej dega aur tumhari neki ki fasal khoob badhayega.) 11  har baat mein tumhein aasheeshein dekar maalamal kiya jaa raha hai taaki tum bhi har tarah se dariyadili dikha sako aur hamare is kaam ki vajah se parmeshvar ko dhanyavad diya jaa sake. 12  kyonki yah jan-seva sirf isliye nahin ki jaati ki pavitra janon ki zaroortein achhi tarah poori hon,+ balki isliye bhi ki jaati hai ki parmeshvar ka bahot dhanyavad kiya jaaye. 13  tum raahat ke liye yah jo seva karte ho, uski vajah se log parmeshvar ki mahima karte hain kyonki tum maseeh ke baare mein jis khushkhabri ka ailan karte ho uske adheen bhi rehte ho aur tum unke liye aur sabke liye dil kholkar daan dete ho.+ 14  woh tumhare liye parmeshvar se minnatein karte hain aur tumse pyar karte hain kyonki tum par parmeshvar ki apar maha-kripa hui hai. 15  parmeshvar ke us muft vardan ke liye jiska shabdon mein bayan nahin kiya jaa sakta, uska dhanyavad ho.

kai footnote

ya “hichkichate.”
ya “udarta se.”