kurinthiyon ke naam doosri chitthi 6:1-18

  • parmeshvar ki kripa ka galat istemal mat karo (1, 2)

  • paulus ki seva ka byaura (3-13)

  • bemel juye mein na juto (14-18)

6  parmeshvar ke saath kaam karte huye+ hum tumse yah bhi guzarish karte hain ki parmeshvar ki maha-kripa sweekar karne ke baad us kripa ka maksad mat bhoolo.+  isliye ki woh kehta hai, “manzoori paane ke vakt mainne teri suni aur uddhaar ke din teri madad ki.”+ dekho! abhi khaas taur par manzoori paane ka vakt hai. dekho! abhi uddhaar ka woh din hai.  hum kisi bhi tarah se thokar khaane ki koi vajah nahin dete taaki hamari seva mein koi dosh na paaya jaaye.+  har tarah se hum parmeshvar ke sevak hone ka saboot dete hain,+ dheeraj se kai pareekshayen sehkar, dukh-takaleefein, tangi aur mushkilein jhelkar,+  maar khaakaar, kaid mein rehkar,+ dangon ka saamna karke, kadi mehnat karke, jaagte huye raatein kaatkar, bhookhe pet rehkar,+  shuddhta, gyaan, sabraa,+ kripa+ aur pavitra shakti se, bina kapat pyar karke,+  sachchi baatein bolkar, parmeshvar ki taakat se,+ daayen* aur baayen* haath mein neki ke hathiyar lekar,+  izzat paane aur beizzat hone ke samay, hamare baare mein buri khabar failne aur achhi khabar failne ke samay. hamein dhokha denevale samjha jaata hai magar hum sachche hain,  hum anjanon jaise hain fir bhi mashhoor hain, marne par hain* fir bhi dekho! hum zinda hain,+ hum aise hain maano hamein saza di gayi hai magar maut ke havale nahin kiya gaya,+ 10  dukh mananevalon jaise hain magar hamesha khush rehte hain, gareebon jaise hain fir bhi bahoton ko ameer banate hain, maano kangal hain fir bhi hamare paas sabkuch hai.+ 11  kurinthiyo, hamne khulkar tumse baat ki hai, hamne tumhare liye apne dilon ko bada kiya hai. 12  hamne dil kholkar tumse pyar kiya hai+ magar tum pyar karne mein tangadil ho. 13  isliye apne bachche jaankar main tumse kehta hoon ki tum bhi apne dilon ko bada karo.+ 14  avishvasiyon ke saath bemel juye mein na juto.*+ kyonki neki ke saath dushtata ki kya dosti?+ ya raushni ke saath andhere ki kya saajhedari?+ 15  aur maseeh aur shaitan* ke beech kya taalmel?+ ya ek vishvasi* aur ek avishvasi ke beech kya samaanta?+ 16  aur parmeshvar ke mandir ka moorton+ ke saath kya samjhauta? isliye ki hum jeevit parmeshvar ka ek mandir hain,+ theek jaisa parmeshvar ne kaha hai, “main unke beech nivas karoonga+ aur unke beech chaloonga-firoonga aur main unka parmeshvar bana rahoonga aur woh mere log bane raheinge.”+ 17  “yahova* kehta hai, ‘isliye unmein se baahar nikaal aao aur khud ko unse alag karo aur ashuddh cheez ko chhoona band karo,+ tab main tumhein apne paas le loonga.’”+ 18  “sarvashaktiman parmeshvar yahova* kehta hai, ‘aur main tumhara pita banoonga+ aur tum mere bete-betiyaan banoge.’”+

kai footnote

shaayad maarne ke liye.
shaayad khud ko bachane ke liye.
ya “hamein marne ke laayak samjha gaya.”
ya “judo.”
shaa., “baliyal.” yah ek ibrani shabd se nikala hai jiska matlab hai “nikamma.”
ya “vishvasyogya insan.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.