kurinthiyon ke naam doosri chitthi 8:1-24

  • yahoodiya ke maseehiyon ke liye daan jama karna (1-15)

  • titus ko kurinth bheja gaya (16-24)

8  bhaaiyo, ab hum chahte hain ki tum parmeshvar ki us maha-kripa ke baare mein jaano jo makiduniya ki mandliyon par hui hai.+  jab woh badi pareeksha ke dauran dukh jhel rahe the, tab apni ghor gareebi ke baavjood unhonne khushi-khushi daan dekar apni dariyadili ka saboot diya.  unhonne apni haisiyat ke hisab se diya,+ balki usse bhi zyada diya+ aur main khud is baat ka gavah hoon.  unhonne khud aage badhkar hamse guzarish ki, yahaan tak ki woh hamse minnatein karte rahe ki unhein bhi pavitra janon ko raahat pahunchne ke liye daan dene ka samman diya jaaye.+  unhonne hamari ummeed se bhi badhkar kiya, kyonki unhonne parmeshvar ki marzee ke mutabik khud ko pehale prabhu ke liye aur fir hamare liye de diya.  isliye hamne titus ko badhava diya+ ki woh pyar se diya hua tumhara daan ikattha karne ka kaam poora kare, jo usne shuroo kiya tha.  isliye jaise tum har baat mein yaani vishvas aur bolne ki kaabilyat mein, gyaan aur josh mein aur hum tumse jaisa pyar karte hain vaisa hi pyar karne mein dhani ho, vaise hi daan dene mein dariyadil bano.+  yah kehkar main tumhein koi hukm nahin de raha hoon, balki is baat par tumhara dhyan khinch raha hoon ki doosre kitni khushi-khushi daan de rahe hain aur main yah parakhna chahta hoon ki tumhara pyar kitna sachcha hai.  isliye ki tum hamare prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa ko jaante ho ki woh ameer hote huye bhi tumhari khaatir gareeb bana+ taaki tum uski gareebi se ameer ban sako. 10  is maamle mein meri yah raay hai:+ yah kaam poora karna tumhare hi faayde ke liye hai, kyonki ek saal beet chuka hai jab tumne yah kaam shuroo kiya tha aur tumne aisa karne ki bahot ichha bhi dikhayi thi. 11  tumne yah kaam jitne josh ke saath shuroo kiya tha, utne hi josh ke saath ise poora bhi karo. tumhare paas jo kuch hai uske hisab se dekar tum yah kaam poora karo. 12  isliye ki agar ek insan kuch dene ki ichha rakhta hai, to uske paas dene ke liye jo kuch hai use sweekar kiya jaata hai.+ usse kuch aisa dene ki ummeed nahin ki jaati jo uske paas nahin hai. 13  main yah isliye nahin kah raha ki doosre chain se rahein aur tum bojh se dab jaao. 14  balki main chahta hoon ki is vakt tumhari bahotayat unki ghati ko poora kare aur unki bahotayat bhi tumhari ghati ko poora karne ke kaam aaye taaki barbari ho jaaye. 15  theek jaisa likha bhi hai, “jiske paas zyada tha uske paas bahot zyada nahin hua aur jiske paas kam tha use kam nahin pada.”+ 16  parmeshvar ka dhanyavad ho ki uski badaulat titus bhi dil se tumhari utni hi fikra karta hai jitni hum karte hain,+ 17  kyonki woh na sirf hamare kehne par tumhare paas aane ko raazee hua hai, balki woh utsuk hokar khud apni marzee se tumhare paas aa raha hai. 18  hum uske saath us bhaai ko bhi bhej rahe hain jisne khushkhabri sunane ke kaam mein jo kiya hai, uske liye saari mandliyon mein uski taareef ho rahi hai. 19  itna hi nahin, mandliyon ne is bhaai ko hamare saath safar par jaane ke liye thehraya hai taaki woh hamare saath pyar se diye gaye is tohfe ko le jaane ka kaam kare. yah daan hum prabhu ki mahima ke liye baanteinge, jo is baat ka bhi saboot hoga ki hum doosron ki madad karna chahte hain. 20  udarta se diya gaya daan pahunchne ke maamle mein hum yah ehtiyat isliye baratte hain taaki koi aadmi hum par dosh na laga sake.+ 21  isliye ki hum “na sirf yahova* ki nazar mein balki insanon ki nazar mein bhi har kaam imandari se karne ke liye saavdhani baratte hain.”+ 22  iske alava, hum unke saath apne us bhaai ko bhi bhej rahe hain jise hamne kai baar parkha aur paaya ki woh bahot-si baaton mein mehantee hai. use bhi tum par bahot bharosa hai isliye woh aur zyada mehnat karega. 23  agar titus ke baare mein koi bhi saval hai, to main tumhein bata doon ki woh mera saathi* aur mera sehkarmi hai jo tumhare bhale ke liye kaam karta hai. aur agar doosre bhaaiyon ke baare mein koi saval hai to yaad rakho ki woh mandliyon ke bheje gaye preshit hain aur maseeh ki mahima karte hain. 24  isliye unhein apne pyar ka saboot do+ aur mandliyon ke saamne dikhao ki hum tum par kyon garv karte hain.

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
shaa., “saajhedar.”