is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi talak ke baare mein kya sochte hain?

yahova ke sakshi talak ke baare mein kya sochte hain?

hum shaadi aur talak ke baare mein har haal mein bible ke staron par chalte hain. parmeshvar ne shaadi ke intazam ki shurooat is irade se kee ki pati-patni ka bandhan hamesha kaayam rahe. rahi baat talak ki, to bible kehti hai ki sirf ek vajah se talak diya jaa sakta hai aur woh hai naajayaz yaun-sambandh.—matti 19:5, 6, 9.

kya yahova ke sakshi un pati-patniyon ki madad karte hain, jinke beech samasyayen hain?

ji haan. woh aisa kai tareekon se karte hain:

  • kitabein-patrikayen. hamari kitabon-patrikaon mein lagatar aise lekh aate hain, jinse pati-patni ka rishta mazboot ho sakta hai. in lekhon se un pati-patniyon ko bhi kaafi madad mil sakti hai, jinhein lagta hai ki ab kuch nahin ho sakta. misal ke liye, ye lekh dekhiye, “apne hamasfar ka saath nibhaiye har kadam,” “ek-doosre ko kaise maaf karein” aur “dobara bharosa kaayam karna.”

  • sabhayen. hamari mandli ki sabhaon, sammelanon aur adhiveshanon mein charcha ki jaati hai ki bible mein shaadishuda zindagi ke baare mein kya salah di gayi hai.

  • pracheen. hamari mandliyon mein zimmedari nibhanevale kuch maseehi purush, jinhein pracheen kaha jaata hai, pati-patniyon ki niji taur par madad karte hain. woh unhein shastra se achhi salah dete hain, jaise ifisiyon 5:22-25 mein di salah.

agar ek sakshi talak lena chahta hai, to kya use pracheenon se ijazat leni hoti hai?

nahin. yahaan tak ki agar pati-patni ke rishte mein khatas aa gayi hai aur woh pracheenon se salah lete hain, tab bhi pracheenon ko yah batane ka hak nahin hai ki pati-patni ko kya faisla karna chahiye. (galatiyon 6:5) lekin agar koi apne saathi ko talak deta hai, jabki bible ke mutabik aisa karne ki jaayaz vajah nahin hai, to use mandli mein khaas zimmedariyaan nahin di jaatin. aise vyakti ko bible dobara shaadi karne ki bhi ijazat nahin deti.—1 timuthiyus 3:1, 5, 12.

yahova ke sakshi pati-patniyon ke alag hone ke baare mein kya sochte hain?

bible mein pati-patniyon ko salah di gayi hai ki woh hamesha ek-doosre ka saath nibhayen, tab bhi jab unki aapas mein na banti ho. (1 kurinthiyon 7:10-16) zyadatar samasyayen suljhayi jaa sakti hain. agar pati-patni dil se prarthna karein, bible mein diye siddhaanton par amal karein aur ek-doosre ke saath pyar se pesh aayen, to unka rishta achha ho sakta hai.—1 kurinthiyon 13:4-8; galatiyon 5:22.

lekin kuch maseehiyon ne apne saathi se alag ho jaane ka faisla kiya hai, kyonki haalaat bahot zyada bigad gaye the. jaise in haalaat mein:

  • parivar ki dekhbhal karne se jaanboojhkar inkar karna.—1 timuthiyus 5:8.

  • buri tarah maarna-peetna.—bhajan 11:5.

  • jab parmeshvar ki seva karna naamumkin ho jaaye. jaise, ho sakta hai ki pati ya patni apne saathi ko kisi tarah se parmeshvar ki aagyayen todne ke liye majboor kare. aise mein takleefein jhelnevala saathi shaayad faisla kare ki use apne saathi se alag hona padega, tabhi woh ‘insanon ke bajay parmeshvar ko apna raja jaankar uski aagya maan’ paayega.—preshiton 5:29.