is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi doosre dharm ke logon ke saath milkar upasna karte hain?

kya yahova ke sakshi doosre dharm ke logon ke saath milkar upasna karte hain?

dekha jaaye to yahova ke sakshi sabhi dharm ke logon ke saath parmeshvar par unke vishvas ke baare mein baatcheet karna pasand karte hain. lekin jahaan tak doosre dharm ke logon ke saath milkar upasna karne ki baat hai, to hum aisa nahin karte. bible batati hai ki jo log vaakai yeeshu ki shikshaon par chalte hain, unke “beech ekta” hai aur yah ekta unke vishvas mein bhi dekhne ko milti hai. (1 kurinthiyon 1:10; ifisiyon 4:16; filippiyon 2:2) is ekta ka matlab sirf yah maanna nahin hai ki hammein achhe gun hone chahiye, jaise sabse pyar karna, sab par kripa aur daya karna. iske bajay, hum un shikshaon ko bhi maante hain, jo hamne bible se seekhi hain. inke bina to hamara vishvas adhoora hoga.—romiyon 10:2, 3.

bible batati hai ki doosre dharm ke logon ke saath milkar upasna karna bemel juye mein jutne jaisa hoga. aisa karne se ek maseehi ya yahova ke sakshi ka vishvas kamzor pad sakta hai. (2 kurinthiyon 6:14-17) isi vajah se yeeshu ne apne shishyon ko doosre dharm ke logon ke saath milkar upasna karne ki chhoot nahin di. (matti 12:30; yuhanna 14:6) usi tarah parmeshvar ne moosa ke zariye israeliyon ko jo kaanoon diya tha, usmein bhi unhein aas-paas ke logon ke saath milkar upasna karne se mana kiya gaya tha. (nirgaman 34:11-14) ek baar doosre dharm ke logon ne yahova ki upasna karnevale israeliyon se kaha ki woh unke kaam mein haath batana chahte hain. lekin israeliyon ne unki madad lene se inkar kar diya, kyonki yah madad lena ek tarah ka dhaarmik gathbandhan hota.—ejra 4:1-3.

kya yahova ke sakshi doosre dharm ke logon se koi baatcheet nahin karte?

nahin, aisa nahin hai. darasal san 2022 mein yahova ke sakshiyon ne doosre dharm ke logon se baatcheet karne mein 1,50,17,97,703 ghante bitaye. yeeshu ke ek shishya paulus ki tarah hum bhi “zyada-se-zyada logon” ki soch aur dhaarmik vishvas ko jaanna-samajhna chahte hain. (1 kurinthiyon 9:19-22) unke saath baatcheet karte vakt hamari yahi koshish rehti hai ki hum bible mein di yah salah maanein ki sabka ‘gehra aadar’ karo.—1 patras 3:15.