is jaankari ko chhod dein

yeeshu dikhne mein kaisa tha?

yeeshu dikhne mein kaisa tha?

shastra se javab

koi nahin jaanta ki yeeshu dikhne mein kaisa tha, kyonki bible mein uski shakl-soorat ke baare mein kuch nahin bataya gaya hai. yah dikhata hai ki yah baat koi maayne nahin rakhti ki woh dikhne mein kaisa tha. fir bhi bible se uski shakl-soorat ke baare mein thoda-bahot andaza zaroor milta hai.

  • rang-roop: yeeshu ek yahoodi tha, isliye woh zaroor yahoodi logon jaisa dikhta tha. (ibraniyon 7:14) uski maa ek yahoodi thi, isliye zahir-si baat hai ki use apna rang-roop apni maa se mila hoga. aisa nahin lagta ki woh doosron se hatkar nazar aata ho. isliye ek baar jab usne chhipkar galeel se yarooshalem tak safar kiya to log use pehchan nahin paaye. (yuhanna 7:10, 11) woh apne kareebee chelon se bhi alag nazar nahin aata tha. isliye yaad keejiye ki jab yahooda iskariyoti hathiyaron se lais ek bheed ke saath aaya, to usne yeeshu ko choomkar uski pehchan ki taaki bheed use giraftar kar sake.—matti 26:47-49.

  • baal ki lambai: yeeshu ke baal lambe nahin rahe honge kyonki bible batati hai, “agar ek aadmi ke baal lambe hon to yah uske liye apman ki baat hoti hai.”—1 kurinthiyon 11:14.

  • daadhi: yeeshu ki daadhi thi. woh yahoodi kaanoon ko maanta tha, jiske mutabik aadmiyon ko mana kiya gaya tha ki woh ‘apni daadhi ke kinare kaatkar uska aakar na bigadein.’ (laivyavyavastha 19:27; galatiyon 4:4) iske alava bible ki ek bhavishyavani mein, jismein yah bataya gaya hai ki yeeshu ko kin takleefon se guzarna padega, uski daadhi ka zikra kiya gaya hai.—yashayah 50:6.

  • sehat: bible se is baat ke kai surag milte hain ki yeeshu hatta-katta tha. apni seva ke dauran woh kai meel chalkar safar karta tha. (matti 9:35) usne do baar yahoodiyon ka mandir shuddh kiya aur paisa badalnevale saudagaron ki mezen palat di. ek baar to usne kode se sabhi maveshiyon ko baahar khaded diya. (luka 19:45, 46; yuhanna 2:14, 15) mcclintock aur strong ki cyclopedia  kehti hai: “khushkhabri ki chaaron kitabon mein darz byaura dikhata hai ki [yeeshu] kaafi chust-durust aur sehatmand tha.”—khand 4, page 884.

  • chehre ke bhaav: yeeshu logon se bahot pyar karta tha aur uske dil mein karuna bhari thi, isliye zahir-si baat hai ki uske chehre ke bhaav se ye donon gun jhalakte the. (matti 11:28, 29) sab kism ke log dilasa aur madad paane ke liye uske paas aate the. (luka 5:12, 13; 7:37, 38) yahaan tak ki bachche bhi bejhijhak uske paas aate the.—matti 19:13-15; markus 9:35-37.

yeeshu ki shakl-soorat ke baare mein galatfehmiyaan

galatfehmi: kuch logon ka daava hai ki yeeshu habshi tha kyonki prakashitvakya ki kitab mein bataya gaya hai ki uske baal oon jaise the aur uske paanv “chamchamate tambe jaise the.”—prakashitvakya 1:14, 15.

sachchai: prakashitvakya ki kitab mein likhi baatein “nishaniyon ke zariye” di gayi thi. (prakashitvakya 1:1) yeeshu ke baal aur paanv ke baare mein jo bataya gaya hai, woh is baat ka varnan nahin hai ki jab woh dharti par tha tab woh kaise dikhta tha. iske bajay iska matlab hai ki dobara zinda kiye jaane ke baad yeeshu mein kya-kya gun hain. gaur keejiye ki prakashitvakya 1:14 mein jab kaha gaya hai ki yeeshu ka “sir aur uske baal safed oon aur barf jaise safed the” to uske baalon ki banavat ki nahin balki uske rang ki baat ki gayi hai. aur baalon ka rang safed hona dikhata hai ki umra ki vajah se usmein kaafi buddhi hai. (prakashitvakya 3:14) yah hum kaise jaante hain ki baalon ki banavat ki nahin balki rang ki baat ki gayi hai? kyonki baalon ki tulna sirf oon se nahin balki barf se bhi ki gayi hai.

yeeshu ke paanv “chamchamate tambe jaise the jo bhatthi mein tapaya gaya ho.” (prakashitvakya 1:15) uska chehra bhi “aise chamak raha tha jaise sooraj kadi dhoop mein chamakta hai.” (prakashitvakya 1:16) kisi bhi insani nasal ki tvacha ka rang aisa nahin hai, isliye is darshan ka zaroor ek laakshnik matlab raha hoga. yah darshan dikhata hai ki dobara zinda kiye jaane ke baad yeeshu “us raushni mein rehta hai jahaan koi nahin pahunch sakta.”—1 timuthiyus 6:16.

galatfehmi: yeeshu ek kamzor aur mariyal aadmi tha.

sachchai: yeeshu bahot hi himmatvala tha. misal ke liye, jab hathiyaron se lais ek bheed use giraftar karne aayi to yeeshu himmat se aage aaya aur usne kaha ki woh hi yeeshu hai. (yuhanna 18:4-8) yeeshu hatta-katta bhi raha hoga kyonki woh ek badhai tha aur use auzaron se kaam karna padta tha.—markus 6:3.

to fir, yeeshu ko apna yaatna ka kaath uthane ke liye madad ki zaroorat kyon padi? aur uski maut kaath par latkaye gaye doosre aadmiyon se pehle kaise ho gayi? (luka 23:26; yuhanna 19:31-33) kaath par latkane se pehle hi yeeshu shaareerik taur par kaafi kamzor ho gaya tha. woh poori raat nahin soya tha aur iski ek vajah yah thi ki uska man dukh aur chintaon se bhara tha. (luka 22:42-44) raat-bhar yahoodiyon ne uske saath bura salook kiya aur agle din subah romi logon ne use berahmi se maara-peeta. (matti 26:67, 68; yuhanna 19:1-3) inhin vajahon se uski maut pehle ho gayi hogi.

galatfehmi: yeeshu hamesha gambheer aur udas rehta tha.

sachchai: yeeshu ne hoo-ba-hoo apne pita yahova ke jaise gun zahir kiye aur bible batati hai ki yahova “aanandit parmeshvar” hai. (1 timuthiyus 1:11; yuhanna 14:9) yahi nahin, yeeshu ne doosron ko khush rehna bhi sikhaya. (matti 5:3-9; luka 11:28) ye saari sachchaiyaan dikhati hain ki yeeshu hans-mukh tha aur uske chehre se aksar khushi jhalakti thi.