is jaankari ko chhod dein

kya parmeshvar ne vikasvad ke zariye sab jeev-jantuon ko banaya?

kya parmeshvar ne vikasvad ke zariye sab jeev-jantuon ko banaya?

shastra se javab

nahin. bible mein saaf likha hai ki parmeshvar ne insanon ki aur alag-alag “jaati” ke jaanvaron aur ped-paudhon ki srishti ki. * (utpatti 1:12, 21, 25, 27; prakashitvakya 4:11) bible batati hai ki pehle insani jode aadam aur havva se poori maanavjati nikli. (utpatti 3:20; 4:1) bible mein aisa kahin nahin bataya gaya hai ki parmeshvar ne vikasvad ke zariye alag-alag jeevon ko banaya. vaigyanikon ka maanna hai ki har jaati mein kuch-na-kuch badlav hote hain. is baat ko bible bhi galat nahin thahrati.

 kuch log kya maante hain?

kuch log maante hain ki parmeshvar ne vikasvad ke zariye sab jeevon ko banaya. parmeshvar ne yah sab kaise kiya, is baare mein unke alag-alag vichar hain. encyclopædia britannica  ke mutabik unka maanna hai ki jo jaanvar ya ped-paudhe khud ko vaatavran ke hisab se dhaal lete hain, woh hi jeevit rehte hain aur falte-foolte hain. woh ise prakritik chayan kehte hain aur sikhate hain ki isi ke zariye ishvar prakriti ki sab cheezon ka nirdeshan karta hai.

unka yah bhi maanna hai ki ...

  • bahot samay pehle sab jeevon ki shurooat ek hi poorvaj se hui.

  • ek jeev ka dheere-dheere vikas ho sakta hai aur usse ek nayi jaati nikal sakti hai.

  • in sab prakriyaon ke peechhe kisi-na-kisi tarah parmeshvar ka hi haath hai.

 kya vikasvad ki shiksha bible se mel khaati hai?

jo log maante hain ki parmeshvar ne vikasvad ke zariye sabkuch banaya, woh bible mein darz utpatti ke byaure ko poori tarah sach nahin maante. lekin jab yeeshu dharti par tha to usne utpatti mein diye srishti ke byaure ka zikra kiya kyonki woh jaanta tha ki woh byaura sach hai. (utpatti 1:26, 27; 2:18-24; matti 19:4-6) bible batati hai ki dharti par aane se pehle yeeshu parmeshvar ke saath swarg mein tha aur usne “saari cheezen” banane mein parmeshvar ki madad ki. (yuhanna 1:3) isliye yah vichar ki parmeshvar ne vikasvad ke zariye sab cheezen banayin, bible ki shikshaon se mel nahin khaata.

 kya ped-paudhon aur jaanvaron ka alag-alag vaatavran mein khud ko dhaalna saabit karta hai ki unka vikas hua hai?

bible yah nahin batati ki ek hi jaati mein kitne badlav ho sakte hain. yah is baat se bhi inkar nahin karti ki jaanvaron aur ped-paudhon ki alag-alag jaatiyaan naye vaatavran mein khud ko dhaal sakti hain ya apne jaise ped-paudhe ya jeev utpanna kar sakti hain. kuch log jab aisa hote dekhte hain, to kehte hain ki ek jaati ka vikas hua hai. lekin sach to yah hai ki vaatavran ke mutabik khud ko dhaalne se ek jaati mein jo badlav hote hain, usse kisi naye jeev ki shurooat nahin hoti.

^ para. 1 bible mein istemal huye shabd “jaati” mein ek-se-zyada baatein shaamil hain, lekin vigyan mein istemal honevale shabd “prajati” ke baare mein yah baat sach nahin hai. vaigyanik jab kehte hain ki kisi jaati ka vikas hua hai to woh darasal vikas nahin balki ek hi jaati mein hua badlav hota hai. utpatti ki kitab mein shabd “jaati” yahi baat darshane ke liye istemal hua hai.