is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

kya karein jab hamein khud ko doosron se alag rakhna pade

kya karein jab hamein khud ko doosron se alag rakhna pade

 kya aap khud ko akela ya tanha mehsoos kar rahe hain? agar haan, to aap bhi pavitra shastra bible ke ek lekhak ki tarah mehsoos kar rahe honge: “main us panchhi ki tarah hoon jo chhat par tanha baitha rehta hai.” (bhajan 102:7) bible ki salah maanne se aap un pareshaniyon ka saamna kar paayenge jo doosron se alag rehne ya aaisoleshan ki vajah se aap par aa rahi hain.

 parmeshvar ke kareeb aaiye

 bhale hi aap doosron se mil-jul nahin paa rahe, fir bhi aap khush reh sakte hain. woh kaise? parmeshvar ko jaanne aur uske kareeb aane ke liye samay nikaliye. (matti 5:3, 6) aage diye kuch intazamon se aap faayda paa sakte hain.

 bible ke woh hisse padhiye jinse dilasa milta hai

 aage di aayton se bahot-se logon ko dilasa mila hai. bible ke in hisson ko ek baar mein hi padhne ke bajaye iska ek hissa padhiye. us par manan keejiye aur prarthna keejiye. aaisoleshan ke dauran apna samay istemal karne ka yah achha tareeka hai.—markus 1:35.

 jaaniye ki duniya ke haalaat itne bure kyon hain

 jab aap jaaneinge ki duniya mein itni burai kyon hai aur parmeshvar ise kaise khatm karega, to aap mushkil haalaat ka achhi tarah saamna kar paayenge.—yashayah 65:17.

 bevajah chinta mat keejiye

 aage bataye vishyon par diye lekh padhne se aap aaisoleshan ke samay tanav kam kar paayenge aur had-se-zyada chinta nahin kareinge.—matti 6:25.

 dosti badhaiye

 agar aapke dost honge to aap khush raheinge aur sahi soch banaye rakheinge. aapko khaaskar tab unse jude rehna chahiye jab unse aamne-saamne milna mushkil ho. agar aap ghar se baahar nahin nikal sakte, to aap video-call ya phone ke zariye apne doston se jude reh sakte hain aur naye dost bhi bana sakte hain. aage diye lekhon mein the jaankari padhne se aap na sirf achhe dost bana paayenge balki khud bhi ek “sachcha dost” ban paayenge.—neetivachan 17:17.

 chust-durust rahiye

 bible batati hai ki ‘shareer ki kasrat faaydemand hoti hai.’ (1 timuthiyus 4:8) kasrat karne se hum sahi soch banaye rakh paayenge aur khush raheinge khaaskar aaisoleshan ke dauran. haalaanki aap ghar se baahar nahin nikal sakte fir bhi aap chust-durust rehne ke liye kuch kar sakte hain.