sabhopdeshak 1:1-18

  • sabkuch vyarth hai (1-11)

    • prithvi hamesha kaayam rehti hai (4)

    • prakritik chakra chalte rehte hain (5-7)

    • duniya mein kuch bhi naya nahin hota (9)

  • insan ki buddhi seemit hai (12-18)

    • hava ko pakadne jaisa hai (14)

1  daavid ke bete, yarooshalem ke raja,+ updeshak*+ ke vachan:   woh kehta hai, “vyarth hai! vyarth hai!sabkuch vyarth hai!”+   duniya mein* insan kadi mehnat karta hai,lekin apni mehnat ka use kya milta hai?+   ek peedhi jaati hai aur doosri peedhi aati hai,lekin prithvi hamesha kaayam rehti hai.+   sooraj ugta hai aur fir doobta hai,bhaaga-bhaaga vahin laut jaata hai jahaan se use dobara ugna hai.+   hava dakshin mein behti hai fir ghoomkar uttar mein aati hai,is tarah woh chakkar kaatti rehti hai.   saari nadiyaan* saagar mein jaa milti hain, fir bhi saagar nahin bharta,+ nadiyaan vaapas apni jagah laut jaati hain aur fir se behene lagti hain.+   sab baatein thaka denevali hain,inka bakhan koi nahin kar sakta, inhein dekhkar aankhein nahin bhartin,inke baare mein sunkar kaan nahin thakte.   jo ho chuka hai woh fir hoga,jo kiya jaa chuka hai woh fir kiya jaayega,duniya mein* kuch bhi naya nahin hota.+ 10  kya aisa kuch hai jiske baare mein kaha jaa sake, “dekho! yah kuch naya hai”? woh to barson pehale vajood mein tha,hamare zamane se bhi pehale maujood tha. 11  beete samay ke logon ko koi yaad nahin rakhta,na hi unke baad aanevalon ko koi yaad rakhega aur na hi unhein aanevali peedhiyaan yaad rakheingi.+ 12  main updeshak, yarooshalem se israel par raaj karta hoon.+ 13  aasman ke neeche jo kuch hota hai, uska adhyan karne aur buddhi se uski khoj karne mein mainne ji-jaan laga di.+ yah bada dukh denevala kaam hai jo parmeshvar ne insanon ko diya hai aur jismein woh lage rehte hain. 14  jab mainne woh saare kaam dekhe jo sooraj ke neeche kiye jaate hain,to kya dekha, sabkuch vyarth hai aur hava ko pakadne jaisa hai.+ 15  jo tedha hai use seedha nahin kiya jaa saktaaur jo hai hi nahin, use gina nahin jaa sakta. 16  fir mainne man-hi-man kaha, “mainne bahot buddhi haasil ki hai. mujhse pehale yarooshalem mein shaayad hi kisi ne itni buddhi paayi ho.+ gyaan aur buddhi se kaam lena mainne achhi tarah seekh liya hai.”+ 17  mainne buddhi, paagalpan aur moorkhta ko jaanne mein ji-jaan laga di+ aur paaya ki yah bhi hava ko pakadne jaisa hai. 18  jitni zyada buddhi haasil karo, utni hi nirasha hoti hai.isliye jo apna gyaan badhata hai, woh apna dukh bhi badhata hai.+

kai footnote

ya “sabha bulanevale; logon ko ikattha karnevale.”
shaa., “sooraj ke neeche.”
ya “sardiyon mein behnevali ya kisi aur mausam mein behnevali nadiyaan.”
shaa., “sooraj ke neeche.”