is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi apni samajh mein ferbadal kyon karte hain?

yahova ke sakshi apni samajh mein ferbadal kyon karte hain?

hum yahova ke sakshi sirf bible ki shikshaon par vishvas karte hain. isliye vakt ke guzarte, jaise-jaise hamein bible ki saaf samajh mili hamne apni soch badli. *

bible mein diye siddhaanton ke aadhar par hi ye ferbadal kiye jaate hain. neetivachan 4:18 mein likha hai, “magar nek janon ki raah subah ki raushni jaisi hai, jiska tej, din chadhne ke saath-saath badhta jaata hai.” jaise-jaise chadhte sooraj ki raushni tez hoti hai, hamein sabkuch saaf dikhayi dene lagta hai. usi tarah, sahi samay aane par, parmeshvar hamein bible ki sachchaiyon ki saaf samajh deta hai. (1 patras 1:10-12) bible mein pehle se hi bataya gaya tha ki “ant ke samay” mein hamein bible ki aur saaf samajh milegi.​—daaniyel 12:4.

hamari samajh mein jo badlav hote hain, unse hum hairan-pareshan nahin hote. purane samay mein parmeshvar ke upasakon ko bhi kuch baaton ki sahi samajh nahin thi. unhonne galat ummeedein laga li thi, isliye unhein apni soch badalne ki zaroorat thi.

  • parmeshvar ke tay vakt se 40 saal pehle hi, moosa ne israel raashtra ko misra se aazad karne ki koshish ki thi.​—preshiton 7:23-25, 30, 35

  • preshit woh bhavishyavaniyaan nahin samajh paaye jo maseeh ki maut aur uske fir se zinda hone ke baare mein ki gayi thi.​—yashayah 53:8-12; matti 16:21-23.

  • pehli sadi ke kuch maseehiyon ko ‘yahova ke din’ ke baare mein sahi samajh nahin thi.​—2 thisslunikiyon 2:1, 2.

baad mein, parmeshvar ne unki galat soch sudhari. hum bhi parmeshvar se yahi binti karte hain ki woh hamein bible ki sahi aur saaf samajh deta rahe.​—yakub 1:5.

^ para. 1 hamari samajh mein jo bhi ferbadal hote hain, unhein hum kisi se nahin chhipate. iske bajay, hum apni kitabon-patrikaon mein in badlavon ke baare mein khulkar batate hain. udahran ke liye, hamari website par yahova ke sakshiyon ke liye khojbeen guide  mein sheershak, “yahova ke sakshi>hamari shikshaon ki badhti samajh” dekhiye.