is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi doosre dharmon ke liye sahansheelta dikhate hain?

kya yahova ke sakshi doosre dharmon ke liye sahansheelta dikhate hain?

hum bible ki is salah ko maante hain ki “har kism ke insan ka aadar karo” fir chahe woh kisi bhi dharm ka ho. (1 patras 2:17) misal ke liye, kuch deshon mein hum yahova ke sakshiyon ki ginti hazaron mein hai. fir bhi hum netaon ya kaanoon bananevalon par dabav nahin daalte ki woh doosre dhaarmik samoohon ke kaam ko rokein ya un par paabandi lagayen. na hi hum aise kaanoon laagoo karane ke liye koi muhim chhedte hain ki poore samaj ko hamare naitik moolyon aur dhaarmik vishvason par chalna hi hoga. iske bajay, hum doosre dharmon ke liye vahi sahansheelta dikhate hain jo hum chahte hain woh hamare liye dikhayen.—matti 7:12.