is jaankari ko chhod dein

yeeshu ka janm kab hua tha?

yeeshu ka janm kab hua tha?

shastra se javab

bible mein yeeshu maseeh ke janm ki koi nishchit taareekh nahin di gayi hai, jaise neeche di gayi kitabon se pata chalta hai:

  • “maseeh ke janm ki sahi taareekh ke baare mein koi jaankari nahin hai.”​—new catholic encyclopedia.

  • “maseeh ka janm kis din hua tha, iske baare mein pata nahin hai.”​—encyclopedia of early christianity.

bible seedhe-seedhe yah nahin batati ki ‘yeeshu ka janm kab hua tha.’ lekin yah uske janm ke samay hui do ghatnaon ka byaura deti hai. isse yah nishkarsh nikala jaa sakta hai ki uska janm 25 disambar ko nahin hua tha.

sardiyon ke mausam mein nahin

  1. naam-darz karana. yeeshu ke janm ke kuch samay pehle, samrat augustus ne yah farman jaari kiya ki “uske saamrajya ke sab log apna-apna naam darz karayen.” sabhi logon ko “apne-apne shahar” mein naam likhvane ke liye jaana tha, jiska matlab tha ki unhein shaayad ek hafte ya usse zyada samay ka safar tay karna padta. (luka 2:1-3) yah farman shaayad kar vasoolne aur logon ko sena mein bharti karne ke irade se jaari kiya gaya tha. is farman ke mutabik kaam karna logon ko bilkul pasand nahin tha, fir chahe woh saal ka koi bhi samay ho. khaaskar thand ke mausam mein agar unhein naam darz karane ke liye bheja jaata, tab to woh samrat par aur bhi bhadak uthte, kyonki kai logon ko kadake ki thandi mein lamba safar tay karna padta. is vajah se yah mumkin nahin lagta ki augustus ne kadake ki sardi mein logon ko naam darz karane ke liye majboor kiya ho.

  2. bhedein. charvahe “maidanon mein rehkar raat ko apne jhundon ki rakhvali kar rahe the.” (luka 2:8) daily life in the time of jesus  kitab kehti hai ki ‘fasah ke ek hafte pehle’ yaani kareeb maarch ke madhya se lekar navambar ke madhya tak bhedon ke jhund khule maidan mein rehte the. kitab yah bhi batati hai, “sardiyon ke dauran woh andar hi rehte the aur isi ek baat se dekha jaa sakta hai ki sardiyon mein christmas ki paaramparik taareekh galat hai, kyonki khushkhabri ki kitabon (matti, markus, luka aur yuhanna) mein likha hai ki charvahe maidanon mein apne jhundon ke saath the.”

patjhad ki shurooat mein

yeeshu ki maut eesvi san 33 ke vasant mein, nisan 14 ko yaani fasah ke din hui thi. agar hum is taareekh se ulta ginein, to hum anuman laga sakte hain ki uska janm kab hua hoga. (yuhanna 19:14-26) yeeshu ne jab apne saadhe-teen saal ka prachar kaam shuroo kiya, tab woh kareeb 30 saal ka tha. isliye uska janm eesa poorva 2 ko patjhad ke mausam ki shurooat mein hua hoga.​—luka 3:23.

25 disambar ko christmas kyon manaya jaata hai?

iska koi saboot nahin hai ki yeeshu maseeh ka janm 25 disambar ko hua tha, to fir isi taareekh ko christmas kyon manaya jaata hai? encyclopædia britannica  kehti hai ki charch ke aguvon ne yah taareekh shaayad isliye chuni, “taaki yah us taareekh se mel khaa sake, jab gair-isai romi log sardiyon ke ant mein ‘ajey soorya ka janmdin’ manate the.” the encyclopedia americana  ke mutabik, kai vidvan maante hain ki aisa isliye kiya gaya, taaki “maseehi dharm apnanevale gair-isaiyon ko maseehi-dharm zyada aakarshak lage.”