is jaankari ko chhod dein

kya vigyan pavitra shastra se mel khaata hai?

kya vigyan pavitra shastra se mel khaata hai?

shastra se javab

haan. haalaanki bible vigyan ki kitab nahin hai, fir bhi woh jab kabhi vigyan se judi baaton ka zikra karti hai, woh bilkul sahi hoti hai. hum kuch misalon par gaur kareinge, jisse hum samajh paayenge ki vigyan aur bible ka aapas mein taalmel hai aur yah bhi ki bible ke samay mein jo vigyan se judi baatein likhi gayi thi, woh us zamane ke logon ki dhaarnaon se bilkul alag thi.

  • bahot-si purani mangadhant kahaniyaan batati hain ki vishva-mandal banaya nahin gaya, balki yah kisi gadbadi ke baad apne-aap aa gaya. baibilon ke rehnevale maante the ki do mahasagar se nikalkar aaye ishvaron ne vishva-mandal ko janm diya hai. doosri kahaniyon mein bataya gaya hai ki vishva-mandal ek vishal ande se aaya hai. jabki bible batati hai ki vishva-mandal ki ek shurooat thi.—utpatti 1:1.

  • duniya-bhar mein faili mangadhant kahaniyaan batati hain ki prakritik vipattiyaan devi-devtaon ki man-marzee ki vajah se hoti hain, jinke aage insan bebas hain. lekin bible batati hai ki har din vishva-mandal mein maujood grah-taare tay prakritik niyamon ke aadhar par ghoomte rehte hain.—ayyoob 38:33; yirmayah 33:25.

  • purane jamane ke log maante the ki dharti chapti hai aur yah kisi daanav ya bade jaanvar, jaise kisi bail ya kachhuye ke sahare tiki hai. lekin, bible mein likha hai ki prithvi bina kisi tek ke latki hui hai.—ayyoob 26:7

  • beete samay mein yoonaniyon ka maanna tha ki mahasagar ka paani zameen ke neeche se nadiyon mein aata tha aur unki yah soch atharahavin sadi tak bani rahi. jabki bible ki aayton ki jaanch karne se pata chalta hai ki samudra ya kisi doosre soton se paani bhaap bankar ud jaata hai, fir vahi bhaap baadal bankar dharti par paani, barf ya ole bankar barasta hai. aur isi paani se nadiyaan aur jharne bhar jaate hain.—ayyoob 36:27, 28; sabhopdeshak 1:7; yashayah 55:10; aamos 9:6.

  • pahadon ki unchai ghatti-badhti rehti hai aur aaj hum jin pahadon ko dekhte hain, woh ek zamane mein mahasagar ke andar the. (bhajan 104:6, 8) jabki bahot-si kahaniyaan batati hai ki in pahadon ko devtaon ne banaye hain.

  • saaf-safai ki aadton se sehat achhi bani rehti hai. israel raashtra ke kaanoon mein saaf-safai se judi kuch hidaytein di gayi thi, jaise ki unhein laash ko chhoone ke baad nahana tha, chhoot ki beemari se peedit vyakti ko alag rakhna tha aur insan ke mal ko achhi tarah se mitti se dhaanpna tha. (laivyavyavastha 11:28; 13:1-5; vyavasthavivran 23:13) usi zamane mein misri apne kisi ghaav ko theek karne ke liye jo lep lagate the, us mishran mein insan ke mal ka istemal karte the.

kya bible mein vigyan se judi galat jaankariyaan hain?

nahin. theek tarah se jaanch karne par hamein bible mein vigyan se judi koi galat jaankari nahin milti hai. neeche kuch aisi galatfhamiyaan ka zikra hai, jinki vajah se log bible mein darz vigyan se judi jaankari par saval khade karte hain.

galatfhami: bible mein likha hai ki vishva-mandal chh: dinon mein banaya gaya hai, jismein ek din 24 ghanton ka hai.

sach: bible batati hai ki parmeshvar ne vishva-mandal hazaron saal pehle banaya tha. (utpatti 1:1) aur yah bhi batati hai ki utpatti kitab ke adhyay 1 mein jin dinon ka zikra kiya hai, woh ek-ek din ek-ek yug ke barabar hai aur ye yug kitne hazar saalon ke hain, yah baat bible mein nahin batayi gayi hai. dekha jaaye, to woh poora samay jismein prithvi aur aakash banaya gaya, use bhi ek “din” kaha gaya hai.—utpatti 2:4.

galatfhami: bible mein likha hai ki sooraj banane se pehle hi ped-paudhon ko banaya gaya, jabki ped-paudhe sooraj ki dhoop ke bina badh hi nahin sakte.—utpatti 1:11, 16.

sach: bible batati hai ki “aakash” ke anginat taaron mein se sooraj bhi ek taara hai, jise ped-paudhon se pehle banaya gaya tha. (utpatti 1:1) srishti ke pehle “din” ya pehle yug mein, sooraj ka bikhra hua ujiyala prithvi ki satah tak aata tha. jab srishti ke teesre “din” vaatavran banaya gaya, tab yah ujiyala is had tak prithvi par aane laga ki ped-paudhe badh sakte the. (utpatti 1:3-5, 12, 13) uske kaafi samay baad hi sooraj prithvi ki satah se saaf dikhayi dene laga.—utpatti 1:16.

galatfhami: bible batati hai ki sooraj prithvi ka chakkar kaatta hai, na ki prithvi sooraj ka.

sach: sabhopdeshak 1:5 mein likha hai, “soorya uday hokar ast bhi hota hai, aur apne uday ki disha ko veg se chala jaata hai.” prithvi ki satah se sooraj jis tarah ghoomte huye dikhayi padta hai, yah aayat us baat ko darshati hai. aaj bhi, ek vyakti “sooryoday” aur “sooryast” jaise shabdon ka istemal karta hai, jabki woh jaanta hai ki prithvi sooraj ka chakkar kaatti hai.

galatfhami: bible batati hai ki prithvi chapti hai.

sach: bible mein “prithvi ki chhor” jaise shabdon ka istemal kiya gaya hai, jiska matlab hota hai, door ka ilaka. iska matlab yah nahin hai ki prithvi chapti hai ya yah ki prithvi ka koi kinara hai. (luka 11:31) usi tarah se jab hum “prithvi ki chaaron dishaon” jaise shabdon ka istemal karte hain, to iska yah matlab nahin hai ki prithvi ke chaar kone hain. lekin inse hum yah samajhte hain ki yahaan par poori duniya ke baare mein baat ki jaa rahi hai.—yashayah 11:12; luka 13:29.