is jaankari ko chhod dein

pradhan swargdoot meekael kaun hai?

pradhan swargdoot meekael kaun hai?

shastra se javab

bible se pata chalta hai ki meekael, jise kuch log “sant meekael” bhi kehte hain, yeeshu ka hi naam hai. * dharti par aane se pehle uska yahi naam tha aur swarg jaane ke baad bhi uska yahi naam raha. moosa ki maut ke baad meekael ki shaitan ke saath behas hui thi. aur usne ek swargdoot ki bhi madad ki thi taaki woh parmeshvar ka sandesh lekar daaniyel ke paas jaa sake. (daaniyel 10:13, 21; yahooda 9) meekael ke naam ka matlab hai, “parmeshvar jaisa kaun hai?” aur woh apne naam par khara utarta hai. kaise? parmeshvar ki hukoomat ko buland karke aur uske dushmanon se ladkar.—daaniyel 12:1; prakashitvakya 12:7.

gaur keejiye ki yeeshu ko pradhan swargdoot meekael kehna kyon sahi hai:

  • meekael “pradhan swargdoot” hai. (yahooda 9) bible mein is upadhi ka istemal sirf do baar hua hai. donon hi jagah ye shabd ekvachan mein hain, jisse pata chalta hai ki yah upadhi sirf ek swargdoot ko mili hai. inmein se ek aayat kehti hai ki prabhu yeeshu, jise mare huon mein se zinda kiya gaya tha, “pradhan swargdoot ki damdar aavaz se pukar lagata hua swarg se utrega.” (1 thisslunikiyon 4:16) ismein yeeshu ki aavaz ko ‘pradhan swargdoot ki aavaz’ kaha gaya hai, isse pata chalta hai ki vahi pradhan swargdoot meekael hai.

  • meekael ke adheen swargdooton ki ek badi sena hai. “meekael aur uske swargdooton ne ajgar [yaani shaitan] se ladai ki.” (prakashitvakya 12:7) swargdooton ke beech meekael ke paas bahot adhikar hai kyonki woh “sabse bade haakimon mein se hai” aur use “bada haakim” kaha gaya hai. (daaniyel 10:13, 21; 12:1) bible ke “naye niyam” ke ek jaankar david. e. aune ne kaha ki in upadhiyon se pata chalta hai ki meekael “swargdooton ki sena ka senapati hai.”

    bible mein sirf ek aur shakhs ka zikra kiya gaya hai jiske paas swargdooton ki sena par adhikar hai. ismein likha hai, “prabhu yeeshu apne shaktishali dooton ke saath  dhadhakti aag mein swarg se prakat hoga. woh un logon se badla lega jo parmeshvar ko nahin jaante.” (2 thisslunikiyon 1:7, 8; matti 16:27) “yeeshu ab swarg laut gaya hai . . . aur swargdoot aur adhikar aur taakatein uske adheen ki gayi hain.” (1 patras 3:21, 22) aisa ho nahin sakta ki parmeshvar, yeeshu aur meekael donon ko swargdooton ka pradhan banakar unhein ek-doosre ke khilaf kar de! isliye yah kehna sahi hoga ki yeeshu aur meekael donon ek hi shakhs hain.

  • meekael tab “khada hoga” jab “sankat ka aisa samay aayega” jaisa pehle kabhi nahin aaya. (daaniyel 12:1) “khada hoga” ye shabd daaniyel ki kitab mein aksar tab istemal huye hain jab ek raja koi zaroori kadam uthane ke liye khada hota hai. (daaniyel 11:2-4, 21) yeeshu maseeh jise “parmeshvar ka vachan” kaha gaya hai, jald hi ‘raajaon ke raja’ ke taur par parmeshvar ke dushmanon ke khilaf kadam uthayega aur parmeshvar ke logon ko bachayega. (prakashitvakya 19:11-16) yeeshu yah us dauran karega jab ‘aisa maha-sankat hoga jaisa duniya ki shurooat se ab tak nahin hua.’—matti 24:21, 42.

^ para. 1 bible mein kai logon ke ek-se-zyada naam diye gaye hain jaise yakub ko israel, patras ko shimaun aur taddi ko yahooda kaha gaya hai.—utpatti 49:1, 2; matti 10:2, 3; markus 3:18; preshiton 1:13.