is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

aap donon ki jodi viman chaalak aur sahchalak jaisi ho

pati-patniyon ke liye

2: milkar kaam karne ka jazba

2: milkar kaam karne ka jazba

iska kya matlab hai?

jo pati-patni ekjut hokar kaam karte hain, woh samasya aane par use akele nahin, balki saath milkar suljhate hain. unki jodi viman chaalak aur sahchalak ki tarah hoti hai.

pavitra shastra ki salah: “woh ab do nahin rahe balki ek tan hain.”​—matti 19:6.

“shaadishuda zindagi ko khushhal banana sirf ek saathi par nirbhar nahin karta. yah do pahiyonvali gaadi hai.”​—christopher.

yah kyon maayne rakhta hai?

samasya aane par agar pati-patni saath milkar na suljhayen, to woh ek-doosre par dosh lagane lag sakte hain. aise mein chhoti-chhoti baatein bhi pahad ka roop le leingi.

“ekjut hokar kaam karna pati-patni ke liye behad zaroori hai. agar main aur mere pati ekjut hokar kaam na karein, to hum pati-patni nahin, balki ek hi chhat ke neeche rehnevale ajnabi honge.”​—alexandra.

aap kya kar sakte hain?

khud se poochhiye

  • kya main yah maanta hoon ki meri kamai par bas mera hak hai?

  • kya sukoon paane ke liye mujhe apne saathi se door jaana padta hai?

  • kya mujhe apne sasuralvalon se milna-julna pasand nahin, jabki mere saathi ko pasand hai?

apne saathi se is baare mein baat keejiye

  • kin maamlon mein hum ekjut hokar kaam karte hain?

  • kin maamlon mein hamein sudhar karna hai?

  • ekjut hokar kaam karne ke liye hamein kya karna hoga?

ise aazmaiye

  • maan leejiye ki aap aur aapka saathi tennis match khel rahe hain. agar aap donon alag-alag team mein hain, to aap ek-doosre ko harane ki koshish kareinge. vahin agar aap apne saathi ki team mein aa jaayen, to aap donon milkar jeetne ki koshish kareinge.

  • isliye koi samasya aane par yah mat sochiye ki “main kaise jeet sakta hoon?” iske bajay yah sochiye ki “hum donon kaise jeet sakte hain?”

“yah mat sochiye ki kaun sahi hai aur kaun galat. jo baat sabse zyada maayne rakhti hai woh yah hai ki aap donon ke beech shaanti aur ekta ho.”​—ethan.

pavitra shastra ki salah: “har ek sirf apne bhale ki fikra mein na rahe, balki doosre ke bhale ki bhi fikra kare.”​—filippiyon 2:3, 4.