is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

aap apne bachchon ko kaisi chaal chalna sikha rahe hain?

maata-pitaon ke liye

8: achhi misal

8: achhi misal

iska kya matlab hai?

maata-pita apne bachchon ko jo sikhate hain, pehle unhein khud uske mutabik chalna hoga. maan leejiye koi aapse milne ghar aata hai aur aap usse milna nahin chahte, isliye apni patni se kehte hain, ‘bol do main ghar par nahin hoon.’ agar aapka bachcha aapko yah kehte sun le, to kya aap usse hamesha sach bolne ki ummeed kar sakte hain?

“agar maata-pita bachchon ko jo sikhate hain, khud us par nahin chalte, to woh bachchon se ummeed nahin kar sakte ki woh unki baat maaneinge. bachche spanj ki tarah hote hain. hum jo kehte hain, jo karte hain, sab sokh lete hain. hum unhein jo sikhate hain, woh khud nahin karte, to woh jhat-se hamein bata deinge.”​—david.

pavitra shastra ki salah: “kya tu jo prachar karta hai ki ‘chori na karna,’ khud chori karta hai?”​—romiyon 2:21.

yah kyon maayne rakhta hai?

chhote bachche aur kishor ladke-ladkiyaan aksar vahi karte hain, jo unke maa-baap karte hain. unki umra ke bachchon ya doosre logon se zyada maata-pita ka un par asar hota hai. iska matlab hai ki maata-pita hi sabse achhi tarah apne bachchon ko sahi raah par chalna sikha sakte hain. par iske liye unhein khud sahi raah par chalna hoga.

“shaayad aap apne bachche se hazaron baar koi baat kahein aur sochein ki pata nahin woh meri baat sun bhi raha hai ya nahin. lekin aapne use jo sikhaya hai, use khud karne mein agar aap ek baar bhi chook gaye, to woh fat-se aapko aapki galti bata dega. hamein lag sakta hai ki hum jo karte hain, us par bachche dhyan nahin dete, lekin sach to yah hai ki woh dhyan dete hain.”​—nicole.

pavitra shastra ki salah: ‘jo buddhi swarg se milti hai woh kapti nahin hoti.’​—yakub 3:17.

aap kya kar sakte hain?

khud par dhyan deejiye. aap manoranjan ke liye kis tarah ki filmein vagairah dekhte hain? aap apne pati ya patni aur bachchon se kaisa vyavhar karte hain? aap kis tarah ke logon se dosti karte hain? kya aap doosron ka khayal rakhte hain? kya aap vaise insan hain, jaisa aap chahte hain ki aapke bachche banein?

“main aur mere pati apne bachchon ke liye koi aisa niyam nahin thehrate, jis par hum khud nahin chalte.”​—christine.

galti karne par maafi maangiye. aapke bachche jaante hain ki aap bhi galti kar sakte hain. isliye agar aapse koi galti ho jaaye, to apne saathi aur bachchon se maafi maangiye. aisa karne se aap bachchon ko sach bolna aur namra hona sikhaenge.

“hamein bachchon ke saamne apni galti maan leni chahiye aur maafi maangni chahiye. agar hum aisa nahin kareinge, to bachche bhi apni galtiyaan chhipana seekheinge.”​—robin.

“bachche sabse zyada maata-pita ko dekhkar seekhte hain. hum har vakt unki nazron mein hote hain, isliye hamein unke liye ek achhi misal rakhni chahiye. hum unke liye maano ek khuli kitab hain, jisse unhein hamesha koi-na-koi seekh milti hai.”​—wendell.