is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

paath 02

ek achhi zindagi, parmeshvar ka vaada

ek achhi zindagi, parmeshvar ka vaada

hum sabki zindagi mein kai mushkilein aur chintayen hain. aur kuch logon ne to zindagi mein bahot dard saha hai, kisi beemari ki vajah se ya kisi apne ki maut ki vajah se. kya aapke saath bhi aisa kuch hua hai? aap shaayad sochte honge, ‘kya meri pareshaniyaan kabhi khatm hongi?’ aaiye dekhein ki bible mein kya likha hai. is baare mein jaanne se hamein ek aasha milegi.

1. bible se hamein kya aasha milti hai?

bible mein likha hai ki hum sabki zindagi mein kyon itni pareshaniyaan hain. ismein yah bhi bataya gaya hai ki parmeshvar bahot jald saari dukh-takaleefein door kar dega. usne vaada kiya hai ki hamara bhavishya achha hoga. isse hamein aasha milti hai ki aage hamein ek achhi zindagi milegi. (yirmayah 29:11, 12 padhiye.) is vajah se aaj hum mushkilon mein bhi khush reh paate hain aur himmat nahin haarte. hum bharosa rakhte hain ki jab saare dukh door ho jaayenge, to hum hamesha khush raheinge.

2. bhavishya mein hamari zindagi kaisi hogi?

bible mein likha hai, “na maut rahegi, na maatam, na rona-bilakhna, na hi dard rahega.” (prakashitvakya 21:4 padhiye.) aisi koi bhi samasya nahin rahegi jisse aaj hum pareshan aur nirash ho jaate hain. gareebi, bhedbhav, beemari, maut yah sab nahin rahega. dharti firdaus ban jaayegi yaani ek saaf-suthri sundar jagah. tab sab log khushi se jeeyenge aur woh bhi hamesha ke liye.

3. aap kaise yakeen kar sakte hain ki parmeshvar ke vaade zaroor poore honge?

aksar log vaade karte hain par unke vaadon par bharosa karna mushkil hota hai. lekin parmeshvar ke vaadon par hum poora bharosa kar sakte hain. par aap shaayad sochein, ‘main kaise in vaadon par yakeen kar sakta hoon?’ kyon na aap shastra yaani bible padhein aur use ‘dhyan se jaanchein’? (preshiton 17:11) agar hum isi tarah bible par charcha karein, to aap khud jaan paayenge ki parmeshvar ke vaade poore honge ya nahin.

aur jaaniye

parmeshvar ne bhavishya ke liye kya-kya vaade kiye hain? in vaadon ke baare mein jaankar kaise kuch logon ko sukoon mila hai aur woh mushkilon mein bhi khush rehte hain? aaiye jaanein.

4. parmeshvar hamesha ki zindagi dega jismein koi dukh nahin hoga

aage parmeshvar ke kuch vaade likhe huye hain. inmein se kaun-se vaade aapko achhe lage aur kyon?

un vaadon ke aage likhe huye vachan padhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:

  • kya in vachnon se aapko himmat mili? kya in vachnon se aapke kisi parivarvale ya dost ko himmat milegi?

kalpana keejiye ki us vakt jeena kaisa rahega.

kya nahin hoga?

kya hoga?

  • jinki maut ho gayi hai, unhein zinda kiya jaayega aur woh apne parivarvalon ke saath khushi se jeeyenge.​—yuhanna 5:28, 29.

  • log chain se jeeyenge, hamesha ke liye.​—bhajan 37:29.

5. parmeshvar ke vaadon ke baare mein jaankar aaj bhi aap khush reh sakte hain

bahot-se log duniya mein bhedbhav dekhkar dukhi ho jaate hain. kuch to gusse se bhar jaate hain aur anyay ke khilaf aavaz uthate hain. lekin jab unhein maaloom padta hai ki parmeshvar bahot jald sabkuch theek kar dega, to unhein raahat milti hai. video dekhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:

  • rafika kis baat ko lekar pareshan thi?

  • haalanki woh bhedbhav ko mita nahin paayi, magar usne bible se kya jaana?

parmeshvar ke vaadon ke baare mein jaanne se hum mushkilon ka saamna kar paayenge aur himmat nahin haareinge. neetivachan 17:22 aur romiyon 12:12 padhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:

  • parmeshvar ke vaadon ke baare mein jaankar aapko kaisa lagta hai? ab aap mushkilon ke baare mein kya sochte hain?

kuch log kehte hain: “yah sab sunnae mein to achha lag raha hai, par mujhe nahin lagta aisa hoga.”

  • kya aapko lagta hai ki is baare mein chhaanbeen karna achha rahega?

ab tak hamne seekha

parmeshvar ne vaada kiya hai ki woh hamein aage chalkar ek achhi zindagi dega. isliye aaj hum mushkilon mein bhi khush reh sakte hain.

aap kya kaheinge?

  • logon ko kyon ek achhe kal ki aasha chahiye?

  • bhavishya mein zindagi kaisi hogi?

  • parmeshvar ke vaadon ke baare mein jaanne se aaj bhi aapko kya faayda hoga?

lakshya

ye bhi dekhein

ek achhe kal ki ummeed hone se hamein mushkilein sehne ki himmat milti hai. jaaniye kaise.

“hamein ummeed kahaan se mil sakti hai?” (sajag hoiye!  lekh)

jo log lambe samay se beemar hain, unhein parmeshvar ke vaadon se kaise himmat mil sakti hai?

“laailaj beemari mein himmat kaise mil sakti hai?” (jw.org par diya lekh)

sangeet ka yah video dekhiye. kalpana keejiye ki parmeshvar ne is duniya ko bilkul naya bana diya hai aur aap apne parivar ke saath khushi se ji rahe hain.

kaisa samaan hoga  (3:45)

ek aadmi ki kahani padhiye jo logon ke hak ke liye ladta tha. jab usne parmeshvar ke vaadon ke baare mein jaana, to uski zindagi badal gayi.

“ab mujhe nahin lagta ki mujhe hi duniya badalni hai” (prahreedurg  lekh)