mika 5:1-15

  • woh shaasak jo prithvi par mahan hoga (1-6)

    • woh betlehem se aayega (2)

  • bache huye log os aur sher jaise (7-9)

  • desh shuddh kiya jaayega (10-15)

5  “hey chaaron taraf se ghiri hui beti,tu apne shareer ko zakhmi kar rahi hai. dushmanon ne hamari gherabandi kar li hai,+woh israel ke nyayi ke gaal par chhadi maarte hain.+   hey betlehem eprata,+tu jo yahooda ke hazaron* mein sabse chhota hai,tujhmein se ek aisa shakhs aayega jise main israel ka shaasak thehraunga,+jiski shurooat bahot pehale, yugon pehale hui thi.   isliye parmeshvar apne logon ko tab tak ke liye chhod dega,jab tak ki bachcha jannevali aurat bachche ko janm nahin de deti. tab us shaasak ke baaki bhaai israel ke logon ke paas laut aayenge.   woh uthega aur yahova ki taakat se,apne parmeshvar yahova ke mahan naam se, jhund ki charvahi karega+ aur woh mehfooz raheinge,+kyonki tab uski mahanta dharti ke kone-kone tak pahunch jaayegi+   aur woh shaanti kaayam karega.+ aur agar kabhi ashshoori hamare desh par hamla karein aur hamari mazboot meenaron ko raundein,+to hum unke khilaf logon mein se saat charvahe, haan, aath haakim* khade kareinge.   woh ashshoor par talvar uthayenge,+nimrod ke desh+ mein daakhil hone ke raaston par talvar chalayenge. jab ashshoor hamare desh par hamla karega aur hamare ilake ko raundega,tab woh shaasak hamein uske haath se bachayega.+   yakub ke bache huye jan, bahot-se logon ke beech aise honge,jaise yahova ki taraf se padnevali os,jaise ped-paudhon par baarish ki bauchhar,jo na kisi aadmi ke bharose rehti hai,na insanon ke kehne par girti hai.   raashtron ke beech, haan, desh-desh ke logon ke beechyakub ke bache huye jan aise honge,jaise koi sher jangal ke jaanvaron ke beech ho,jaise javan sher bhedon ke jhund mein chal raha ho.jab woh unke beech se jaata hai, to un par jhapatta hai aur unhein faad khaata hai,unhein bachanevala koi nahin hota.   tu bairiyon ko harakar apna haath uthayega,tere saare dushmanon ka naash ho jaayega.” 10  yahova ailan karta hai,“us din main tere ghodon ko tere beech mein se naash karoonga aur tere rathon ko tod doonga. 11  main tere desh ke sabhi shehron ko tabah kar doongaaur tere saare mazboot gadhon ko dhaa doonga. 12  tu jo tona-totka karta hai, use main khatm kar doonga,tere yahaan jaadoo-tona karnevala koi bhi zinda nahin bachega.+ 13  main teri khudi hui moortein aur tere pooja-stambh khaak mein mila doonga,tu fir kabhi apne haath ki banayi cheezon ke aage dandvat nahin karega.+ 14  main tere beech se pooja-laathon* ko ukhaad feinkoonga+aur tere shehron ka sarvanash kar doonga. 15  jin raashtron ne mera hukm nahin maana unse main badla loonga,unhein mere krodh aur jaljalahat ka saamna karna padega.”

kai footnote

ya “kulon.”
ya “aguve.”
shabdavli dekhein.