patras ki pehali chitthi 4:1-19

  • maseeh ki tarah parmeshvar ki marzee poori karne ke liye jeeo (1-6)

  • sab baaton ka ant paas aa gaya hai (7-11)

  • maseehi hone ki vajah se dukh uthana (12-19)

4  jab maseeh ne shareer mein dukh jhela hai+ to tum bhi uske jaisi soch aur nazariya* rakhte huye taiyar raho kyonki jo insan dukh jhelta hai usne paap karna chhod diya hai+  taaki woh apni baaki ki zindagi, insanon ki ichhayen poori karne ke liye nahin,+ balki parmeshvar ki marzee poori karne ke liye jeeye.+  duniyavi logon ki marzee poori karne mein tum ab tak jo vakt bita chuke ho woh kaafi hai.+ tab tum nirlajj kaamon* mein, bekaboo hokar vaasnayen poori karne mein, had-se-zyada sharab peene mein, rangraliyaan manane mein, sharab peene ki hod lagane mein aur ghinauni moortipooja karne mein lage huye the.+  ab kyonki tumne unke saath badchalni ke keechad mein lotna chhod diya hai, isliye woh taajjub karte hain aur tumhare baare mein bura-bhala kehte hain.+  magar in logon ko use hisab dena hoga jo zinda logon aur mare huon ka nyay karne ke liye taiyar hai.+  darasal mare huon ko bhi khushkhabri isliye sunayi gayi thi+ taaki woh parmeshvar ki pavitra shakti ke maargdarshan ke mutabik ji sakein, iske baavjood ki unka nyay bhi sab insanon ki tarah kiya jaata hai.  magar sab baaton ka ant paas aa gaya hai. isliye sahi soch banaye rakho+ aur prarthna ke maamle mein chaukanne raho.*+  sabse badhkar, ek-doosre ko dil ki gehraiyon se pyar karo+ kyonki pyar dher saare paapon ko dhak deta hai.+  bina kudkudaye ek-doosre ki mehman-navazee kiya karo.+ 10  parmeshvar ne jo maha-kripa alag-alag tareeke se dikhayi hai, tum uske badhiya prabandhak ho. prabandhak hone ke naate tummein se har kisi ko jo vardan mila hai uska istemal doosron ki seva mein karo.+ 11  agar koi bolta hai to parmeshvar ke pavitra vachan bole. agar koi seva karta hai to us shakti par nirbhar hokar kare jo parmeshvar deta hai+ taaki sab baaton mein yeeshu maseeh ke zariye parmeshvar ki mahima ho.+ mahima aur shakti hamesha-hamesha ke liye usi ki hai. aameen. 12  pyare bhaaiyo, pareekshaon ki jis aag se tum guzar rahe ho usse hairan mat ho,+ maano tumhare saath koi anokhi ghatna ghat rahi ho. 13  iske bajay, tum is baat par khushi manao+ ki tum is had tak maseeh ki dukh-takaleefon mein saajhedar ban rahe ho+ taaki jab uski mahima prakat hogi tab tumhein aur zyada khushiyaan milein aur tum aanand se bhar jaao.+ 14  agar maseeh ke naam ki khaatir tumhein badnam* kiya jaa raha hai, to tum sukhi ho+ kyonki parmeshvar ki pavitra shakti aur iski mahima tum par hai. 15  magar tummein se koi bhi khooni, chor ya bure kaam karnevala ya doosron ke niji maamlon mein dakhal denevala hone ki vajah se dukh na uthaye.+ 16  lekin agar koi maseehi hone ki vajah se dukh uthata hai to woh sharminda mehsoos na kare,+ balki is naam ko dhaaran kiye huye parmeshvar ki mahima karta rahe. 17  isliye ki tay kiya hua vakt aa pahuncha hai jab nyay hoga aur is nyay ki shurooat parmeshvar ke ghar se hogi.+ agar iski shurooat hum hi se hogi,+ to unka kya hashra hoga jo parmeshvar ki khushkhabri ke mutabik chalne se inkar karte hain?+ 18  “agar ek nek insan ke liye uddhaar paana itna mushkil hai, to uska kya hoga jo bhaktiheen aur paapi hai?”+ 19  isliye jo parmeshvar ki marzee poori karne ki vajah se dukh uthate hain, woh bhi achhe kaam karte huye khud ko vishvasyogya srishtikarta ke haath saunpate rahein.+

kai footnote

ya “pakka irada.”
ya “sharmnak bartav.” shabdavli dekhein.
ya “jaagte raho.”
ya “tumhara apman.”