is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshiyon mein striyaan bible sikha sakti hain?

kya yahova ke sakshiyon mein striyaan bible sikha sakti hain?

ji haan. yahova ka har sakshi pracharak ya sevak hai, jismein laakhon striyaan bhi shaamil hain. bible bhi is baat ka havala deti hai ki hamare vakt mein khushkhabri sunane mein striyon ki ginti sabse zyada hogi.—bhajan 68:11.

par mandli mein sikhane ki zimmedari khaas taur par bhaaiyon ya purushon ko di gayi hai. iska matlab yah nahin hai ki striyaan kisi ko nahin sikha saktin. woh bible mein batayi gayi striyon ke nakshe-kadam par chalti hain aur ghar-ghar jaakar logon ko bible sikhati hain. (neetivachan 31:10-31) iske alava woh apne bachchon ko bible ke mutabik chalna sikhati hain. (neetivachan 1:8) ek achhi maseehi stri ki boli aur uske kaam bhi doosron ke liye ek misal saabit hote hain.—titus 2:3-5.