is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi bible ke purane niyam ko maante hain?

kya yahova ke sakshi bible ke purane niyam ko maante hain?

ji haan. yahova ke sakshi maante hain ki poori-ki-poori bible ‘parmeshvar ki prerna se likhi gayi hai.’ (2 timuthiyus 3:16) poori bible mein purana aur naya donon niyam shaamil hain. yahova ke sakshi in donon bhaagon ko purana aur naya kehne ke bajay, ibrani aur yoonani shastra kehte hain. isse hum yah dikhate hain ki bible ka koi bhi bhaag purana ya bekar nahin hai.

maseehiyon ko purane niyam aur naye niyam donon ki zaroorat kyon hai?

parmeshvar ne preshit paulus ke zariye kaha ki jo baatein pehle likhi gayi thi woh hamari hidayat ya faayde ke liye hain. (romiyon 15:5) in baaton mein purana niyam ya ibrani shastra bhi shaamil hai. isliye ibrani shastra mein hamare liye anmol jaankari milti hai. hum ismein faaydemand aitihasik jaankari aur zindagi jeene ke liye bahot-si achhi salah bhi paate hain.

  • faaydemand aitihasik jaankari. ibrani shastra mein khulkar bataya gaya hai ki srishti kaise hui. ismein yah bhi bataya gaya hai ki shurooat mein insanon ne kaun-si bhaari galti ki thi, jisse duniya mein museebatein aayin. agar hamare paas yah jaankari nahin hoti to hamein in savalon ke javab kaise milte jaise, hamari shurooat kaise hui? ya fir insan marta kyon hai? (utpatti 2:7,17) iske alava ibrani shastra mein hum un logon ke baare mein seekhte hain jo hamare jaisi bhaavnayen rakhte the aur jinke haalaat kaafi had tak hamare jaise the. usmein yah bhi bataya gaya hai ki yahova parmeshvar ne unki madad kaise ki hai. in sab baaton ko padhne se hum yahova ke baare mein aur seekhte hain aur uske kareeb aate hain.—yakub 5:17.

  • zindagi jeene ke liye achhi salah. neetivachan aur sabhopdeshak ki kitabein ibrani shastra mein hi paayi jaati hain. in kitabon mein aisi gyaan ki baatein the gayi hain, jo aaj bhi poori tarah faaydemand hain. usmein paayi jaanevali salah hamein ek khushhal parivar banane mein madad deti hai (neetivachan 15:17), isse hamein kaam aur aaram ke liye sahi nazariya rakhne mein madad milti hai (neetivachan 10:4; sabhopdeshak 4:6), aur javan log seekhte hain ki kaise apni zindagi ko kaamyab banayen (sabhopdeshak 11:9-12:11).

iske alava, bible ki pehli paanch kitabon mein jo kaanoon paaya jaata hai, woh moosa ke zariye israeliyon ko diya gaya tha. is kaanoon ko moosa ki vyavastha ya torah bhi kaha jaata hai. jabki yah kaanoon aaj maseehiyon par laagoo nahin hota, fir bhi ismein paaye jaanevale anmol siddhaant, ek khushhal zindagi jeene mein hamari aaj bhi madad karte hain.—laivyavyavastha 19:18; vyavasthavivran 6:5-7.