is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi unhein dutkarte hain, jo ek vakt par unke dharm se jude the?

kya yahova ke sakshi unhein dutkarte hain, jo ek vakt par unke dharm se jude the?

yahova ke sakshiyon mein se baptisma paaye jo log prachar karna chhod dete hain ya shaayad apne vishvasi bhaai-behenon ke saath mel-jol rakhna band kar dete hain, unhein dutkara nahin  jaata. darasal hum khud aage badhkar unki madad karne ki koshish karte hain taaki woh ek baar fir josh ke saath parmeshvar ki seva kar sakein.

gambheer paap karne par hum turant kisi ka bahishkar nahin kar dete. lekin agar baptisma paaya ek sakshi baar-baar bible ke naitik niyamon ko todta hai aur pachhtava nahin dikhata to usse kinara kar liya jaata hai ya use bahishkrit kar diya jaata hai. bible saaf batati hai: “us dusht aadmi ko apne beech se nikaal baahar karo.”—1 kurinthiyon 5:13.

lekin tab kya agar ek aadmi ko bahishkrit kar diya jaata hai, magar uske beevi-bachche ab-bhi yahova ke sakshi hain? upasna ke maamle mein apne parivar ke saath uska pehle jaisa rishta nahin reh jaata. magar unke beech khoon ka rishta nahin tootta, unka aapsi rishta aur pyar ab bhi bana rehta hai.

bahishkrit log hamari dhaarmik sabhaon mein aa sakte hain. agar woh chahein, to mandli ke pracheenon se madad le sakte hain jo unhein bible se salah deinge. pracheenon ka yahi lakshya hota hai ki woh ek bahishkrit insan ki madad karein taaki woh dobara yahova ka sakshi hone ke yogya bane. galat chaalchalan thukrane aur bible staron ke mutabik jeene ki dili tamanna zahir karnevale bahishkrit logon ko, dobara yahova ka sakshi banne ka poora-poora mauka diya jaata hai.