is jaankari ko chhod dein

makeup karne aur gehne pehanne ke baare mein bible kya batati hai?

makeup karne aur gehne pehanne ke baare mein bible kya batati hai?

shastra se javab

haalaanki bible is vishay par zyada nahin batati, magar yah makeup karne, gehne pehanne ya doosre tareekon se sajne-sanvrane ko galat nahin thehrati. lekin bible yah bhi badhava deti hai ki hamein baahari rang-roop ko nikharne se zyada ‘apne andar ke insan ko shaant aur komal swabhav se sanvarne’ par dhyan dena chahiye.​—1 patras 3:3, 4.

sajna-sanvarna galat nahin hai

  • bible mein parmeshvar ki bhakti karnevali aurtein bhi sajti-sanvarti thi. ek thi ribka, jisne abraham ke bete ishak se shaadi ki. bible batati hai ki usne sone ki nath, kangan aur doosre keemti gehne pehne the. ye saare gehne use uske honevale sasur ne diye the. (utpatti 24:22, 30, 53) doosri thi ester. faaras saamrajya ka raja jab kai ladkiyon mein se apne liye raani chun raha tha to unmein ester bhi thi. raja ke saamne use pesh karne se pehle uski “khoobsoorti nikharne ka intazam” kiya gaya aur ester ne us intazam ko sweekar kiya. (ester 2:7, 9, 12) zahir hai ki is intazam mein “prasadhan ki saamagri” yaani tarah-tarah ka makeup istemal karna bhi shaamil tha.​—a new hindi translation.

  • bible mein gehnon ki misal dekar achhi baatein batayi gayi hain. udahran ke liye, achhi salah denevale ke baare mein kaha gaya hai ki woh aise insan ke liye “sone ki baali” ki tarah hai “jo use sunta hai.“ (neetivachan 25:12) usi tarah, parmeshvar ne israel raashtra ke saath apne vyavhar ke baare mein bataya ki yah aisa tha maano ek pati apni patni ko kangan, haar aur kaan ki baaliyon se sajata hai. is tarah raashtra ko sajane ki vajah se uski “khoobsoorti dekhte banti thi.”​—yahejkel 16:11-13.

makeup aur gehnon ke baare mein galat dhaarnayen

galat dhaarna: 1 patras 3:3 mein bible kehti hai ki ‘baal goonthna aur sone ke gehne pehanna’ galat hai.

sachchai: aas-paas ki aayton se pata chalta hai ki bible yah keh rahi hai ki baahari rang-roop ko nikharne se zyada andar ki khoobsoorti badhana ahmiyat rakhta hai. (1 patras 3:3-6) yahi tulna bible ki doosri aayton mein bhi ki gayi hai.​—1 shamooel 16:7; neetivachan 11:22; 31:30; 1 timuthiyus 2:9, 10.

galat dhaarna: dusht raani izebel “apni aankhon mein kaajal” lagati thi jisse pata chalta hai ki makeup karna galat hai.​—2 raja 9:30.

sachchai: izebel tona-totka karti thi aur usne kai logon ko marva daala. uske inhin dusht kaamon ke liye use saza di gayi thi, na ki khud ko sanvarne ke liye.​—2 raja 9:7, 22, 36, 37.