is jaankari ko chhod dein

parivar ke liye madad

sharab ke baare mein bachchon se baat keejiye

sharab ke baare mein bachchon se baat keejiye

 “hamari beti jab chhe saal ki thi, tab hamne usse pehli baar sharab ke baare mein baat ki. aur hamein to yakeen hi nahin hua ki woh iske baare mein pehle se kitna kuch jaanti thi.”​—alexander.

 aapko kya pata hona chahiye?

 sharab ke baare mein bachchon se baat karna bahot zaroori hai. sharab ke baare mein baat karne ke liye bachche ke bade hone tak ka intazar mat keejiye. roos mein rehnevala haamit kehta hai, “mere bete ne 13 saal ki umra mein hi sharab peeni shuroo kar di thi. kaash! mainne apne bete se bachpan mein hi sharab ke istemal ke baare mein baat kar li hoti. mujhe bahot afsos hai ki mainne is baare mein usse pehle baat nahin ki.”

 aisa karna aapke liye kyon zaroori hai?

  •   aksar sharab ke istemal ke baare mein aapka bachcha apne school ke doston se, vigyapanon se aur TV dekhkar seekhta hai.

  •   amreeka ke centers for disease control and prevention ke mutabik, poore amreeka mein 11 pratishat bachche aise hain jo sharab ka sevan karte hain.

 isliye swasthya adhikari kehte hain ki maata-pitaon ko apne bachchon ko bachpan se hi sharab peene ke khatron ke baare mein sikhana chahiye. aap aisa kaise kar sakte hain?

aap kya kar sakte hain?

  pehle se hi sochiye ki aapka bachcha sharab ke baare mein kya poochh sakta hai. chhote bachche har cheez jaanna chahte hain, aur bade bachche to unse bhi zyada.  isliye pehle se hi javab ke baare mein sochkar rakhna achha hoga. jaise,

  •   agar bachcha jaanna chahta hai ki sharab ka swad kaisa hai, to aap use bata sakte hain ki wine ka swad khatte sharbat jaisa hota hai aur beer ka swad kaafi kadva hota hai.

  •   agar aapka bachcha sharab chakhna chahta hai, to aap keh sakte hain ki sharab se bachchon ko nuksan hota hai. unhein sharab ke asar ke baare mein bhi bataiye. jaise, sharab peene se achha to lagta hai, magar zyada peene se chakkar aa sakte hain. behki-behki baatein karne lag sakte hain ya nashe mein kuch aisa bol sakte hain ya kar sakte hain, jiske liye baad mein unhein pachhtana pade.—neetivachan 23:​29-35.

 jaankari leejiye. bible mein likha hai, “hoshiyar apne kaamon se gyaan ka saboot deta hai.” (neetivachan 13:​16) pehle se pata keejiye ki aapke desh mein sharab peene ki kaanooni umra kya hai aur peekar gaadi chalane ke baare kya niyam hain. is tarah ki jaankari lene se aap apne bachche ko achhi tarah samjha paayenge.

 is vishay par baat karne ke liye pehal keejiye. britain mein rehnevala mark naam ka ek pita kehta hai, “bachchon ke liye sharab ke baare mein har cheez samajhna mushkil ho sakta hai. ek baar jab main aur mera aath saal ka beta aaram se baithkar baat kar rahe the, tab mainne usse poochha ki sharab peena sahi hai ya nahin. aise maahaul mein woh khulkar apne dil ki baat keh paaya.”

 agar aap chahte hain ki aapka bachcha sharab ke istemal ke baare mein achhi tarah samjhe, to usse is vishay par baar-baar baat keejiye. bachche ki umra ko dhyan mein rakhkar samjhaiye. jab aap usse sadak ke niyamon ya sex ke baare mein ya fir aisi hi kisi doosre vishay ke baare mein samjhate hain, tab aap sharab ke istemal ke baare mein bhi baat kar sakte hain.

 achhi misal baniye. bachche spanj ki tarah hote hain. unke aas-paas jo kuch hota hai, use woh jaldi se sokh lete hain. research se pata chala hai ki bachchon par sabse zyada asar unke maata-pita ka hota hai. isliye agar aap tanav se raahat paane ke liye aksar sharab peete hain, to isse aapke bachche ko lag sakta hai ki sharab se har pareshani door ho sakti hai. is vajah se dhyan rakhiye ki aap  bachchon ke liye ek achhi misal banein aur soch-samajhkar sharab ka istemal karein.

aapke bachche aapse seekheinge ki sharab ka istemal kaise karna chahiye